Friday, 12 April 2013
Melny Ki Haar Ass K Pechy Un Dekhi Majburi Thi
melny ki haar ass k pechy un dekhi majburi thirah main
dhasht nhi partta tha chaar gharoon ki duri thi
ankhon ki takmeel hue ya khawabon ki be noori thi
rangon ki jhankar k pechy har tasveer adhuri thi
jazbon ka daam ghutny laga hai baton k ambaar k pechy
phly neshan zad kar lena tha jitni baat zaruri thi
teri shakal k ek sitary ne pal bhar main sargushi ki
shyed maa-ho-saal wafa ki itni si mazduri thi
shakh guman k afsano se na haq phool malool hua
sehan-e-chaman tak khushbu ki har laghzish geer shuri thi
Labels:
A beautiful ghazal,
ass,
gharoon,
jazbon,
laghzish,
maa-ho-saal,
majburi,
sehan-e-chaman,
takmeel,
wafa
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment