Sunday, 14 April 2013
Hum Jaltay Hain
Dil k atishdan main shab bhar
Kaisay kaisay gham jaltay hain!!!
Nend bhara sanata jis dam
Basti ki ik ik gali main
Khirke khirke tham jata hai
Dewaron per dard ka kehra jam jata hai
Rasta taknay wali ankhen or qindelen bujh jati hain
To us lamhay,
Tery yaad ka endhan ban kar
Shola shola hum jaltay hain
Dore k mosam jaltay hain
Tum kya jano,
Qatra qatra dil main utarti or pighalti
Rat ki sohbat kya hoti hai!
Ankhen saray khawab bujha den
Chehry apny naqsh ganwa den
Or ainay aks bhola den
Aisy main umeed ki wehshat
Dard ki sorat kya hoti hai
Aise tez hawa main piyaray,
Baray baray m'on zor diye b kam jaltay hain
Dil k atishdan main shab bhar
Tery yaad ka endhan ban kar
Hum jaltay hain ...........!!!
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
Akkad Islam amjad
ReplyDelete