Showing posts with label yaad. Show all posts
Showing posts with label yaad. Show all posts

Sunday, 19 May 2013

Thehri Thehri Si Tabiyat


Thehri Thehri Si Tabiyat Mein Rawani Aai,
Aaj Phir Yaad Muhabbat Ki Kahani Aai,

Aaj Phir Neend Ko Aankho'n Se Bichertay Dekha,
Aaj Phir Yaad Koi Chott Purani Aai,

Muddato'n Baad Chala Un Pe Hamara Jadu,
Muddato'n Baad Humain Baat Banani Aai,

Muddato'n Baad Pashemaa'n Hua Dariya Hum Per,
Muddato'n Baad Humain Piyaas Chupani Aai,

Muddato'n Baad Khuli Wus'at-e-Sehra Hum Per,
Muddato'n Baad Humain Khaak Urrani Aai,

Itni Aasani Se Milti Nahi Fun Ki Dolat,
Dhall Gai Umer To Ghazalo'n Per Jawani Aai. . . !



Tuesday, 14 May 2013

Dard-e-Fitrat


Dard-e-Fitrat Ne Itna Barbad Kiya.
Teri Yadon K Siwa Or Kuch Na Yaad Kiya.

Zindagi Kar Na Saki Is Dard Ka Elaj.
WASI
Sukon Tab Tab Mila, Jab Jab Tujhe Yaad Kiya.

Thursday, 7 March 2013

Barish-E- Sange-E- Malamat

Barish-e-sang-e- malamat main sharaboor rahey
Harf aaye naa tujh par , tujh say door rahey

Aatish e qalb bhujaney say kahan bhujtee hay
Dil main khawabeedaa agar yaad kay shurur rahey

Natawaan jism o jaan, dunyaa say woh takar laynaa
Hum essee baat pay had darjaa maghroor rahey

Dard barh jaye to khud aap marham hotaa hay
Suna jo hum nay to phir hum bhee zakhm choor rahey

Hansatey rahtey hain sar e bazm, hay aadat apnee
Hum to woh hain kay dukh uthaa kay bhee masroor rahey

Barh gayee had say sharafat to kuchlay jao gay
Yaad har pal tumhain dunya kaa yeh dastoor rahey

Ghazal main haal jo hum apna bayaan kar baithey
es dil kay hathon bohat majboor rahey


Tuesday, 17 January 2012

***Aaina***

Dekhna accha nahin zaanu pe rakh kar aaina
Dono naazuk hain na rakho aainey per aaina
Ho nahin sakta tere rukh ke barabar aaina
Rashk se apna kahan phhorrey muqaddar aaina
Mounh na dekha ghussey mein tum ne bohat accha kia
Dekh sakta kia ye chitwan kia ye tevar aaina
Lan tarani dekhna kehte hain wo kis naz se
Aaj aaye to muqabil mein chamak kar aaina
Surkh doray nashey ke aankhon mein dete hain baha
Sabab hai kaifiat koi dekhey pi kar aaina
Kam sini ki yaad aati hai tumhari saadgi
Ab sirakta hi zaanu se dum bhar aaina
Wasl mein youn so rahe hain phir subha ko jaag kar
Mere mounh per un ka mounh tha un ke mounh per aaina
Raushni dekhi nahin jati kisi suurat se bhi
Ghut ke mounh rehta hai tera aur barh kar aaina
Jab se wo khud bee'n huay hain qatl karne ko mere
Aap mein talwar hai jauhar mein khanjar aaina
Aaj to ye thehri ke dekhen kaun hai hasrat zada
Raat bhar hum un ka mounh dekhen wo din bhar aaina
Dekhna bhi hai dikhaana bhi haseeno ko hai shart
Is mein bazi le gaya hai banda parwar aaina
Shkal apni dekhta hai naz se aik ik hasee'n
Apne ghar mein ban gaya hai husn ka ghar aaina
Wo jo khud bee'n hain to hon ae "Dagh" tu jalta hai kyun
Saamne un ke rahega aainey per aaina..

Monday, 2 January 2012

***Lekin Rehney Do***

Saarey waadon ko bhula saktI hun,
lekin rehne do..!
Main tumhein chor k ja saktI hun,
lekin rehne do..!
Tum jo har morr pe keh daitey ho
... khuda hafiz,
faisla mein bhi suna sakti hun,
lekin rehne do..!
Tum ne jo baat ki dil ko dukhaney
wali,
us per main muskura b saktI hun,
lekin rehne do..!
Sharam aaye gi tumhein
warna tumharey waaday,
main tumhein yaad dila saktI hun,
lekin rehne do....!!!

Friday, 30 December 2011

Kahan Hote Ho

Hijr mein kyun rulaate ho kahan hote ho*

Laut kr kyun nahi aate ho kahan hote ho*

Yaad aati hai tumahri to neend nahi aati*

Kis tarha khud ko sulaate ho kahan hote ho*

Muj se bichre ho to mehbob-e-nazar ho kis k*

Aaj kal kis ko manaate ho kahan hote ho*