Wednesday 11 January 2012

Us Ko Bura Lagay

Guzray dinon ki yaad barasti ghata lagay,
Guzrun jo us gali say to thandi hawa lagay…

Mehman ban k aaye kisi roz agar wo shakhs
Us roz bin sajaye mera ghar saja lagay…

Main is liyay manata nahi wasl ki khushi
Meray raqeeb ki naa mujay bad-dua lagay…

Wo qehat dosti ka para hai k in dinon
Jo muskura k baat karay aashna lagay…

Tark-e-wafa k baad ye us ki adaa Qateel
Mujh ko sataye koi to us ko bura lagay…

No comments:

Post a Comment