Wednesday 25 January 2012

Un Ke Ek Jan-Nisar Ham Bhi Hain

Un k ek jan-nisar ham bhi hain
hain jahan sau-hazar ham bhi hain
tum bhi bechain ham bhi hain bechain
tum bhi ho beqarar ham bhi hain
ai falaq kah to kya irada hai
aish k khvastagar ham bhi hain
shahar khali kiye dukan kaisi
ek hi vada-khvar ham bhi hain
sharm samajhe tere tagaful ko
vah! kya hoshiyar ham bhi hain
tum agar apni khu k ho mashuq
apne matlab k yar ham bhi hain
jis ne chaha phansa liya hamko
dil-baron k shikar ham bhi hain
kaun sa dil hai jis main dag nahin
ishq ki yadgar ham bhi hain

No comments:

Post a Comment