Tuesday 17 January 2012

***Aaina***

Dekhna accha nahin zaanu pe rakh kar aaina
Dono naazuk hain na rakho aainey per aaina
Ho nahin sakta tere rukh ke barabar aaina
Rashk se apna kahan phhorrey muqaddar aaina
Mounh na dekha ghussey mein tum ne bohat accha kia
Dekh sakta kia ye chitwan kia ye tevar aaina
Lan tarani dekhna kehte hain wo kis naz se
Aaj aaye to muqabil mein chamak kar aaina
Surkh doray nashey ke aankhon mein dete hain baha
Sabab hai kaifiat koi dekhey pi kar aaina
Kam sini ki yaad aati hai tumhari saadgi
Ab sirakta hi zaanu se dum bhar aaina
Wasl mein youn so rahe hain phir subha ko jaag kar
Mere mounh per un ka mounh tha un ke mounh per aaina
Raushni dekhi nahin jati kisi suurat se bhi
Ghut ke mounh rehta hai tera aur barh kar aaina
Jab se wo khud bee'n huay hain qatl karne ko mere
Aap mein talwar hai jauhar mein khanjar aaina
Aaj to ye thehri ke dekhen kaun hai hasrat zada
Raat bhar hum un ka mounh dekhen wo din bhar aaina
Dekhna bhi hai dikhaana bhi haseeno ko hai shart
Is mein bazi le gaya hai banda parwar aaina
Shkal apni dekhta hai naz se aik ik hasee'n
Apne ghar mein ban gaya hai husn ka ghar aaina
Wo jo khud bee'n hain to hon ae "Dagh" tu jalta hai kyun
Saamne un ke rahega aainey per aaina..

No comments:

Post a Comment