Saturday 31 December 2011

Muhabbat Ka Asar Hoga

Muhabbat Ka Asar Hoga,Ghalat Fehmi Main Mat Rehna
Who Badle Ga Chalan Apna,Ghalat Fehmi Main Mat Rehna



TasaLli bhi Usay Dena Ye Mumkin Hai Mai Laut Aaon
Magar Ye bhi Usay Kehna,Ghalat Fehmi Main Mat Rehna



Tumhara Tha,Tumhara Hoon,Tumhara Hi Rahoon Ga Mai
Mere Baray Main Is Darja Ghalat Fehmi Main Mat Rehna



Muhabbat Ka Bharam Toota Hai,Ab Chup Chup ke Rote Ho
Tumhe Mai Ne Kaha Tha Na,Ghalat Fehmi Main Mat Rehna



Bacha Le Ga Tujhe Sehra Ki Tapti Dhoop Se Kaun
Kisi Ki Yaad Ka Saya?Ghalat Fehmi Main Mat Rehna

Friday 30 December 2011

Use Bhool Ja

kahan aa ke rukte thay rastay
kahan morh tha usay bhool ja
jo mil gaya ussay yaad rakh
jo nahi mila usay bhool ja
wo tary naseeb ki barishain
kisi or chat pe baras gain
dil-e-bekhabar meri baat sun
usay bhool ja usay bhool ja
mein to gham tha tairay khayal mein
teri aas mein teray gumaan mein
sabah keh gai mairay kaan mein
mairay sath aa usay bhool ja
kisi aankh mein nahi hai ashk
gham taray baad kuch nahi hai kam
tujhe zindagi nay bhula diya
to bhee muskura usay bhool ja
na woh aankh teri hee aankh thee
na khawab tera khawab tha
dil-e-muntazar to yeh kaisa tera jaagna
usay bhool ja
woh jo bastay jaan hi ulat gaya
woh jo rastay se hee palat gaya
usay rokne se hasil kya usay mat bulaa
usay bhool ja
tujhe chaand ban ke mila tha
jo tere sahilon pe khila tha jo
woh tha ik darya wasaal ka so woh
utar gaya usay bhool ja

Kahan Hote Ho

Hijr mein kyun rulaate ho kahan hote ho*

Laut kr kyun nahi aate ho kahan hote ho*

Yaad aati hai tumahri to neend nahi aati*

Kis tarha khud ko sulaate ho kahan hote ho*

Muj se bichre ho to mehbob-e-nazar ho kis k*

Aaj kal kis ko manaate ho kahan hote ho*

Kaha Tha Na Is Terha Sotey Hue Chor K Mat Jana

Kaha Tha na is terha sotey hue chor k mat jana

Muje beshak jgaa dena

Bata dety muhabbat k safar me sath mere chal nahi sakty

Judai k safer me sath mere chal nahi saktey

Tumhen rasta bdalna hy Meri had se nikalna hy

Tumhen kis baat ka dar tha ?

Tumhen jane nahi deta?

kahin pe qaid kar leta?

Arey pagal muhabbat ki tabiat me zbardasti nahi hoti

Jisey rasta badalna ho usy rasta bdalne se

Jisey had se Nikalna ho

Usey had se nikalne se

Na koi rook paya hy
Na koi rook paye gha

Tumhen kis baat ka dar tha?

Mujhe beshak jgaa dety
Main tumko dekh hi leta

Tumhen koi dua deta
Kam aaz kam yun to na hota

Tumhare baad khoney k liye kuch bhi nahi baaqi

Mgar khone se darta hoon

Main ab soney se darta hoon.....!

Aa Gae Yad Sham Dhalte Hi

aa gayii yaad sham Dhalte hii
bujh gayaa dil chiraaGh jalte hii

khul gaye shahr-e-Gham ke darvaaze
ek zaraa sii havaa ke chalte hi

kaun thaa tuu ke phir na dekhaa tujhe
miT gayaa Khvaab aaNkh malte hii

tuu bhii jaise badal saa jaataa hai
aks-e-diivaar ke badalte hii

Diyar -E- Ghair Men Kaise

dayar-e-gair mein kaise tujhe sada dete
tu mil bhi jata to tujhe ganwa dete

tumhin ne ham ko sunaya na apna dukh warna
dua wo karte k ham asman hila dete

hamein ye zom raha ab k wo pukarenge
unhen ye zid thi k har bar ham sada dete

wo tera gam tha k tasir mere lahje ki
k jis ko hal sunate use rula dete

tumhen bhulna hi awwal to dastaras mein nahin
jo ikhtiyar bhi hota to kya bhula dete

tumhari yad ne koi jawab hi na diya
mere khayal k ansu rahe sada dete

samton ko main ta-umr kosta Syed
wo kuch na kahte magar honth to hila dete

Thursday 29 December 2011

Lagta nahi k sath nibhae ga dair tak

Lagta nahi k sath nibhae ga dair tak
Lekin wo muJh ko bhool na pae ga dair tak

Jo bhi qareeb aae ga us k usay zaror
wo meri dastan sunae ga dair tak

Dhonde ga wo muJhe inhi galiyon me aik *DIN*
Dhonde ga, or muJh ko na paae ga dair tak

Me sahilon ki rait pe likhon gi us ka naam
Wo pani pe mire naqsh banaega dair tak

Kis haal me hon us k baad main
Sun kar usey yaqeen na Aaega dair tak

Iqrar -E- Muhabbat

Iqrar-e-Muhabbat , Ehd-o-Wafa Sab Jhooti Sachi Baatein Hain,
"IQBAL"
Har Shakhs Khudi Ki Masti Mein Bas Apni Khaatir Jeeta HA

****Tei Yad****

Chara gar

***Mujhy Tum Se Muhabbat Hai***

Mere sathi

Meri yeh rooh jism se parwaaz ker jae to

Lot aana............

Mere Bay_khawab raatoN k azaaboN per

Sisak_tay shahar main tum bhi

Zara si dair ko rukna

Mere bay_noor hontoN ki dua_oN per

Tum apni sard pay_shani ka pathar rakh ker ro daina

Bas itni baat keh daina

"Mughe TUm Se Mohabbat Hai"

Dua

Jin Siddato Se Koshish Kar Raha Hu
Ab Main Tumhe Bhulane Ke
Kabhi Bahut Dil Se Dua Manga Karta Tha
Tumhe Apna Banane Ki