Friday 20 January 2012

Khawabun Ki Tarah.

Gaye Mosam Mein Jo Khelte Thay Gulabun Ki Tarah
Dil Pe Utrenge Wohi Khawaab Azaabun Ki Tarah,

Raakh Kay Dher Pe Ab Raat Basar Karni Hai
Jal Chuke Hain Mere Khayme Mere Khawabun Ki Tarah,

Saa`at-e-Deed Kay Aariz Hain Gulabi Ab Tak
Awleen Lamhun Kay Gulnaar Hijabun Ki Tarah,

Woh Samundar Hai To Pher Rooh Ko Shadab Kare
Tashnagi Kiyoon Mujhe Deta Hai Saraabun Ki Tarah,

Gair Mumkin Hai Tere Ghar K Gulabun Ka Shumaar
Mere Riste Howe Zakhmun Kay Hisabun Ki Tarah,

Yaar To Hongi WOh Baaten Tujhe Ab Bhi Lekin
Shelf Mein Rakhi Howi Band Kitaabun Ki Tarah,

Kon Jaane Naye Saal Mein Tu Kis Ko Parhe
Tera Mayaar Badalta Hai Nisaabun Ki Tarah,

Sokh Ho Jaati Hai Ab Bhi Teri Aankhun Ki Chamak
Gaahe Gaahe Tere Dilchasb Sawaalon Ki Tarah,

Hijar Ki Shab Ki, Meri Tanhai Pe Dastak De Gi
Teri Khushbu, Mere Khoye Howe Khawabun Ki Tarah.

No comments:

Post a Comment