Guraizan Na Howa Kar
Ujray Howay Logon Say Guraizan Na Howa Kar
Halaat Ki Qabron Kay Katbay Bhi Parha Kar
Kia Janiye Kiun Taiz Hawa Soch Main Gum Hai
Khawabeeda Parindon Ko Darakhton Say Ura Kar
Us Sakhs Kay Tum Say Bhi Marasim Hain To Hon Gay
Woh Jhoot Na Bolay Ga Mairay Samnay Aa Kar
Ab Dastakain Day Ga Tu Kahan Kay Gham-E-Ahbaab
Main Nay To Kaha Tha Kay Mairay Dil Main Raha Kar
Har Waqt Ka Hansna Tujhay Barbaad Na Kar Day
Tanhai Kay Lamhon Main Kabhi Ro Bhi Liya Kar
Woh Aaj Bhi Sadiyon Ki Musafat Pay Khara Hai
Dhonda Tha Jisay Waqt Ki Dewaar Gira Kar
Ay Dil Tujhay Dushman Ki Pehchan Kahan Hai
Tu Halqa-E-Yaaran Main Bhi Muhtaat Raha Kar
Main Mar Bhi Chuka, Mil Bhi Chuka Moj-E-Hawa Main
Ab Rait Kay Seenay Pay Maira Naam Likha Kar
Pehla Sa Kahan Ab Mairi Raftaar Ka Alam
Ay Gardish-E-Doran Zara Tham Kay Chala Kar
Ik Rooh Ki Faryaad Nay Chonka Diya Mujhay
Tu Ab To Mujhhay Jism Kay Zindan Say Riha Kar
Iss Shabb Kay Muqaddar Main Sehar Hi Nahi Mohsin
Daikha Hai Kai Baar Charaghon Ko Bujha Kar
No comments:
Post a Comment