Friday, 27 January 2012

***Kya Hai***

har ek baat pe kehte ho tum ke ?too kya hai? ?
tumheeN kaho ke yeh andaaz-e-guftgoo kya hai ?
na shole meiN yeh karishma na barq meiN yeh ada
koee batao ki woh shoKH-e-tund_KHoo kya hai ?
yeh rashk hai ki wo hota hai ham_suKHan tumse
wagarna KHauf-e-bad_aamozi-e-adoo kya hai ?
chipak raha hai badan par lahoo se pairaahan
hamaaree jeb ko ab haajat-e-rafoo kya hai ?
jalaa hai jicm jahaaN dil bhee jal gaya hoga
kuredate ho jo ab raakh, justjoo kya hai ?
ragoN meiN dauDte firne ke ham naheeN qaayal
jab aaNkh hee se na Tapka to fir lahoo kya hai ?
woh cheez jiske liye hamko ho bahisht azeez
siwaay baada-e-gul_faam-e-mushkaboo kya hai ?
piyooN sharaab agar KHum bhee dekh looN do chaar
yeh sheesha-o-qadah-o-kooza-o-suboo kya hai ?
rahee na taaqat-e-guftaar, aur agar ho bhee
to kis ummeed pe kahiye ke aarzoo kya hai ?
bana hai shaah ka musaahib, fire hai itaraata
wagarna shehar meiN ?GHalib? kee aabroo kya hai ?

Thursday, 26 January 2012

Aaina Kyu Na Doon


Aaina kyu na doon ke tamasha kahe jise
Aisa kaha se laau ke tujhasa kahe jise
Hasrat ne la rakha teri bazm-e-khayal me
Guldasta-e-nigaah suveda kahe jise
Phoonka hai kisne goshe mohabbat mein aye khuda
Afasuun-e-intazar tamanna kahe jise
Sar par hajum-e-dard-e-garibi se daliye
Wo ek musht-e-khak ke sahara kahe jise
Hai chashm-e-tar me hasarat-e-diidar se niha
Shauq-e-ina gusekhta dariya kahe jise
Darakar hai shiguftan-e-gul haye aish ko
Subh-e-bahar paba-e-miina kahe jise
“ghalib” bura na man jo vaiz bura kahe
Aisa bhii koii hai ke sab achchha kahe jise

Wednesday, 25 January 2012

Un Ke Ek Jan-Nisar Ham Bhi Hain

Un k ek jan-nisar ham bhi hain
hain jahan sau-hazar ham bhi hain
tum bhi bechain ham bhi hain bechain
tum bhi ho beqarar ham bhi hain
ai falaq kah to kya irada hai
aish k khvastagar ham bhi hain
shahar khali kiye dukan kaisi
ek hi vada-khvar ham bhi hain
sharm samajhe tere tagaful ko
vah! kya hoshiyar ham bhi hain
tum agar apni khu k ho mashuq
apne matlab k yar ham bhi hain
jis ne chaha phansa liya hamko
dil-baron k shikar ham bhi hain
kaun sa dil hai jis main dag nahin
ishq ki yadgar ham bhi hain

****Us Se Keh Dena****

Khade Hain Hijr ke Lamhaat Us Se Keh Dena
Bikhar Rahi Hai Meri Zaat Us Se Keh Dena

Hawa-e-Mausam- e-Gham Us ke Shehar Jaye To
Meri Dukhon Ki Koi Baat Us Se Keh Dena

Yeh WeHshatein Yeh Udaasi Yeh Rat Jago ke Azaab
Usi Ki Hai Yeh Inayaat Us Se Keh Dena

Bahut mushkil Bahut KatarNaak Hoti Hain
Judayion Ki Har Ik Raat Us Se Keh Dena

Wo Dil Ki Bazi Jahan Mujh Se Jeetna Chahe
Main Maan Loonga wahi Maat Us Se Keh Dena

Wafa Ki Raah Mein Main Aaj bhi Akela Hoon
Koi Nahi Hai Mere Saath Us Se Keh Dena