Sunday 26 May 2013

Dhrknon Ki Bisaat


Tujhe ilm hy ae tabeeb-e-jan tera pyar meri hayat hy

Main mareez hon tere qurb ka mujhe door jany ki dawa na dy

Yahan sab andhair' parast hain yahan roshni ki majal kya

ye chiragh phr b chiragh hy koi aaty jaty bujha na dy

Tum gye dino me jo sath thy mere qalb-o-jan ka saboot thy

Ye bilawaja tera rothna meri zindagi ko mita na dy

Tere samny mere humnawa meri dhrknon ki bisaat kya

Tera is trha mujhe bholna kahin meri umr ghataa na dy....!!!!

No comments:

Post a Comment