Friday 30 December 2011

Use Bhool Ja

kahan aa ke rukte thay rastay
kahan morh tha usay bhool ja
jo mil gaya ussay yaad rakh
jo nahi mila usay bhool ja
wo tary naseeb ki barishain
kisi or chat pe baras gain
dil-e-bekhabar meri baat sun
usay bhool ja usay bhool ja
mein to gham tha tairay khayal mein
teri aas mein teray gumaan mein
sabah keh gai mairay kaan mein
mairay sath aa usay bhool ja
kisi aankh mein nahi hai ashk
gham taray baad kuch nahi hai kam
tujhe zindagi nay bhula diya
to bhee muskura usay bhool ja
na woh aankh teri hee aankh thee
na khawab tera khawab tha
dil-e-muntazar to yeh kaisa tera jaagna
usay bhool ja
woh jo bastay jaan hi ulat gaya
woh jo rastay se hee palat gaya
usay rokne se hasil kya usay mat bulaa
usay bhool ja
tujhe chaand ban ke mila tha
jo tere sahilon pe khila tha jo
woh tha ik darya wasaal ka so woh
utar gaya usay bhool ja

No comments:

Post a Comment